Mujhay haal sunanay aatay hen
Bay haal huway jo dunya say
Hr shakhs dukhon ka maara hay
Tum poocho kabhi aa,eenay say
Har dil men ek dil basta hay
Har dil se dil nahi lagta hay
Tum dil men apnay dekho tow
Kiya tum par bhi koi marta hay
Ye baaten sub hi baaten hain
In baaton main koi baat nhin.
Ye rog puranay walay hen
Ye koi naee to baat nahi
Tum hanstay ho to lagta hay
Tum ro do gay ye lagta hay
Men smjha tha k dunya men
Dunya ki khoob rawani hen
Yahan hall bura hay subka hi
Bs Apni hi choat purani hay.
1 Comments